Meri Ulfat Madine Se Yun Hi Nahi | मेरी उल्फ़त मदीने से यूँ ही नहीं | میری اُلفت مدینے سے یوں ہی نہیں
Roman English
Meri ulfat Madine se yun hi nahi
Mere Aaqa ka Roza Madine mein hai
Main Madine ki jaanib na kaise khinchun
Mera deen aur duniya Madine mein hai
Arsh e Azam se jis ki badi shaan hai
Roza e Mustafa jis ki pehchaan hai
Jis ka humpalla koi muhalla nahi
Ek aisa muhalla Madine mein hai
Phir mujhe maut ka koi khatra na ho
Maut kya zindagi ki bhi parwa na ho
Kaash Sarkar ek baar mujh se kahein
Ab tera marna jeena Madine mein hai
Sarwar e do jahan se dua hai meri
Haan ba chashm e tar iltija hai meri
Un ki fehrist mein mera bhi naam ho
Jin ka roz aana jaana Madine mein hai
Jab nazar soo e Taiba rawana hui
Saath dil bhi gaya saath jaan bhi gayi
Main Muneer ab rahunga yahan kis liye
Mera saara asaasa Madine mein hai
हिंदी
मेरी उल्फ़त मदीने से यूँ ही नहीं
मेरे आक़ा का रौज़ा मदीने में है
मैं मदीने की जानिब न कैसे खिंचूँ
मेरा दीन और दुनिया मदीने में है
अर्श ए आज़म से जिसकी बड़ी शान है
रौज़ा ए मुस्तफ़ा जिसकी पहचान है
जिसका हमपल्ला कोई मुहल्ला नहीं
एक ऐसा मुहल्ला मदीने में है
फिर मुझे मौत का कोई ख़तरा न हो
मौत क्या ज़िंदगी की भी परवा न हो
काश सरकार एक बार मुझसे कहें
अब तेरा मरना जीना मदीने में है
सरवर ए दो जहाँ से दुआ है मेरी
हाँ बा चश्म ए तर इल्तिजा है मेरी
उनकी फ़ेहरिस्त में मेरा भी नाम हो
जिनका रोज़ आना जाना मदीने में है
जब नज़र सू ए तैयबा रवाना हुई
साथ दिल भी गया साथ जान भी गई
मैं मुनीर अब रहूँगा यहाँ किस लिए
मेरा सारा असासा मदीने में है
اردو
Comments