Mitte Hain Jahan Bhar Ke Aalaam Madine Mein | मिटते हैं जहाँ भर के आलाम मदीने में
Mitte Hain Jahan Bhar Ke Aalaam Madine Mein
Bigde Hue Bante Hain Sab Kaam Madine Mein
Aaqa Ki Inayat Hai Har Gaam Madine Mein
Hota Nahi Koi Bhi Nakaam Madine Mein
Aye Hajiyo Ro Ro Kar Keh Dena Salaam Un Se
Le Jao Ghareebon Ka Paighaam Madine Mein
Aa Jao Gunahgaaro Be Khauf Chale Aao
Sarkar Ki Rehmat To Hai Aam Madine Mein
Wo Shafee e Mahshar To Bulwa Ke Ghulamon Ko
Dete Hain Shafaat Ka Inaam Madine Mein
Chhedo Na Tabeebo Tum Beemar e Madina Ko
Is Ko To Milega Bas Aaraam Madine Mein
Jitne Bhi Muballigh Hain Ho Khaas Karam Un Par
Sab Aayein Shahenshah e Islam Madine Mein
Darbaar Mein Jab Pahunchun Aye Kaash Shaha Us Dam
Deedaar Ka Ho Jaaye Inaam Madine Mein
Aye Kaash Ke Ro Ro Kar Dam Tod Doon Qadmon Mein
Ho Jaaye Mera Bil Khair Anjaam Madine Mein
Allah Qayamat Tak Jis Ka Na Khumaar Utre
Ulfat Ka Piyun Aisa Ek Jaam Madine Mein
Aye Kaash Tadap Kar Main Sarkar Lagun Girne
Aur Aap Mujhe Badh Kar Lein Thaam Madine Mein
Bulwa Ke Baqee Aaqa Hasnain Ke Sadqe Mein
Eidi Mein Ata Kar Do Inaam Madine Mein
Wo Apne Ghulamon Ko Shafqat Se Pilaate Hain
Bhar Bhar Ke Mai e Ulfat Ke Jaam Madine Mein
Insaan Ke Bajaaye Main Aye Kaash Muqaddar Se
Hota Koi Adna Sag Gumnaam Madine Mein
Jab Shah e Madina Ne Parda Kiya Duniya Se
Wallah Gaya Tha Mach Kohraam Madine Mein
Attar Pe Ab Aisa Aye Kaash Karam Ho Jaaye
Makke Mein Sahar Guzre To Shaam Madine Mein
मिटते हैं जहाँ भर के आलाम मदीने में
बिगड़े हुए बनते हैं सब काम मदीने में
आक़ा की इनायत है हर गाम मदीने में
होता नहीं कोई भी नाकाम मदीने में
ऐ हाजियो रो रो कर कह देना सलाम उनसे
ले जाओ ग़रीबों का पैग़ाम मदीने में
आ जाओ गुनहगारो बे ख़ौफ़ चले आओ
सरकार की रहमत तो है आम मदीने में
वो शफ़ी ए महशर तो बुलवा के ग़ुलामों को
देते हैं शफ़ाअत का इनाम मदीने में
छेड़ो न तबीबो तुम बीमार ए मदीना को
इसको तो मिलेगा बस आराम मदीने में
जितने भी मुबल्लिग़ हैं हो ख़ास करम उन पर
सब आएँ शहंशाह ए इस्लाम मदीने में
दरबार में जब पहुँचूँ ऐ काश शहा उस दम
दीदार का हो जाए इनाम मदीने में
ऐ काश कि रो रो कर दम तोड़ दूँ क़दमों में
हो जाए मेरा बिल ख़ैर अंजाम मदीने में
अल्लाह क़यामत तक जिसका न ख़ुमार उतरे
उल्फ़त का पियूँ ऐसा इक जाम मदीने में
ऐ काश तड़प कर मैं सरकार लगूँ गिरने
और आप मुझे बढ़ कर लें थाम मदीने में
बुलवा के बक़ी आक़ा हसनैन के सदक़े में
ईदी में अता कर दो इनाम मदीने में
वो अपने ग़ुलामों को शफ़क़त से पिलाते हैं
भर भर के मय ए उल्फ़त के जाम मदीने में
इंसाँ के बजाए मैं ऐ काश मुक़द्दर से
होता कोई अदना सग गुमनाम मदीने में
जब शाह ए मदीना ने पर्दा किया दुनिया से
वल्लाह गया था मच कोहराम मदीने में
अत्तार पे अब ऐसा ऐ काश करम हो जाए
मक्के में सहर गुज़रे तो शाम मदीने में
Comments