Utha Do Parda Dikha Do Chehra Lyrics | उठा दो पर्दा दिखा दो चेहरा
Roman English
Utha do parda dikha do chehra ke Noor-e-Bari hijaab mein hai,
Zamana tareek ho raha hai ke mehr kab se naqaab mein hai.
Nahin woh meethi nigaah wala, Khuda ki rehmat hai jalwa farma,
Ghazab se un ke Khuda bachaye, Jalal-e-Bari itaab mein hai.
Jali jali boo se us ki paida hai sozish-e-ishq-e-chashm wala,
Kabaab-e-aahu mein bhi na paaya maza jo dil ke kabaab mein hai.
Unhi ki boo maaya-e-saman hai, unhi ka jalwa chaman chaman hai,
Unhi se gulshan mehak rahe hain, unhi ki rangat gulaab mein hai.
Teri jalw mein hai Maah-e-Taiba, hilaal har marg-o-zindagi ka,
Hayaat jaan kaar-kaab mein hai, mamaat a'da ka daab mein hai.
Siyah libasaan-e-daar-e-duniya wa sabz poshaan-e-Arsh-e-Aala,
Har ek hai un ke karam ka pyaasa, ye faiz un ki janaab mein hai.
Woh gul hain labha-e-naazuk un ke, hazaaron jhadte hain phool jin se,
Gulaab gulshan mein dekhe bulbul, ye dekh gulshan gulaab mein hai.
Jali hai soz-e-jigar se jaan tak, hai taalib-e-jalwa-e-mubarak,
Dikha do woh lab ke Aab-e-Haywaan ka lutf jin ke khitaab mein hai.
Khade hain Munkar Nakeer sar par, na koi haami na koi yaawar,
Bata do aa kar mere Payambar ke sakht mushkil jawaab mein hai.
Khuda-e-Qahhaar hai ghazab par, khule hain badkaariyon ke daftar,
Bacha lo aa kar Shafee-e-Mahshar, tumhara banda azaab mein hai.
Kareem aisa mila ke jis ke khule hain haath aur bhare khazaane,
Batao aye mufliso! ke phir kyun tumhara dil iztiraab mein hai.
Gunah ki tareekiyan ye chhaayen, umand ke kaali ghataayen aayen,
Khuda ke Khursheed mehr farma ke zarrah bas iztiraab mein hai.
Kareem apne karam ka sadqa, laeem-e-be-qadr ko na sharma,
Tu aur Raza se hisaab lena, Raza bhi koi hisaab mein hai.
हिंदी
उठा दो पर्दा दिखा दो चेहरा कि नूर-ए-बारी हिजाब में है,
ज़माना तारीक हो रहा है कि मेहर कब से नक़ाब में है।
नहीं वो मीठी निगाह वाला, ख़ुदा की रहमत है जलवा फ़रमा,
ग़ज़ब से उनके ख़ुदा बचाए, जलाल-ए-बारी इताब में है।
जली-जली बू से उसकी पैदा है सोज़िश-ए-इश्क़-ए-चश्म वाला,
कबाब-ए-आहू में भी न पाया मज़ा जो दिल के कबाब में है।
उन्हीं की बू मायाए-समन है,उन्हीं का जलवा चमन-चमन है,
उन्हीं से गुलशन महक रहे हैं, उन्हीं की रंगत गुलाब में है।
तेरी जल्व में है माह-ए-तैबा, हिलाल हर मर्गओ-ज़िंदगी का,
हयात जान कार-काब में है, ममात अअदा का डाब में है।
सियह लिबासान-ए-दार-ए-दुनिया व सब्ज़ पोशान-ए-अर्श-ए-आला,
हर एक है उनके करम का प्यासा,ये फ़ैज़ उनकी जनाब में है।
वो गुल हैं लब-हाए-नाज़ुक उनके, हज़ारों झड़ते हैं फूल जिनसे,
गुलाब गुलशन में देखे बुलबुल, ये देख गुलशन गुलाब में है।
जली है सोज़-ए-जिगर से जाँ तक, है तालिब-ए-जल्वा-ए-मुबारक,
दिखा दो वो लब कि आब-ए-हैवाँ का लुत्फ़ जिनके ख़िताब में है।
खड़े हैं मुनकर नकीर सर पर, न कोई हामी न कोई यावर,
बता दो आकर मेरे पैग़म्बर कि सख़्त मुश्किल जवाब में है।
ख़ुदा-ए-क़ह्हार है ग़ज़ब पर, खुले हैं बदकारियों के दफ़्तर,
बचा लो आकर शफ़ी-ए-महशर, तुम्हारा बंदा अज़ाब में है।
करीम ऐसा मिला कि जिसके खुले हैं हाथ और भरे ख़ज़ाने,
बताओ ऐ मुफ़लिसो! कि फिर क्यों तुम्हारा दिल इज़्तिराब में है।
गुनाह की तारीकियाँ ये छाएँ, उमड़ के काली घटाएँ आएँ,
ख़ुदा के खुर्शीद मेहर फ़रमा कि ज़र्रा बस इज़्तिराब में है।
करीम अपने करम का सदक़ा, लईम-ए-बेक़द्र को न शरमा,
तू और रज़ा से हिसाब लेना, रज़ा भी कोई हिसाब में है।
कवि: इमाम अहमद रज़ा खान
नात ख्वां: ओवैस रज़ा क़ादरी, सय्यद हसानुल्लाह क़ादरी
Comments