Phir ke Gali Gali Tabaah thokrein sab ki khaaye kyun | फिर के गली गली तबाह ठोकरें सब की खाए क्यों
- Get link
- X
- Other Apps
Phir ke gali gali tabaah thokrein sab ki khaaye kyun,
Dil ko jo aql de Khuda teri gali se jaaye kyun.
Rukhsat-e-qaafila ka shor ghash se hamein uthaaye kyun,
Sote hain un ke saaye mein koi hamein jagaaye kyun.
Baar na the Habeeb ko paalte hi ghareeb ko,
Royein jo ab naseeb ko chain kaho ganwaaye kyun.
Yaad-e-Huzoor ki qasam ghaflat-e-aish hai sitam,
Khoob hain qaid-e-gham mein hum koi hamein chhudaaye kyun.
Dekh ke Hazrat-e-Ghani phail pade faqeer bhi,
Chhaayi hai ab to chhaoni hashr hi aane jaaye kyun.
Jaan hai Ishq-e-Mustafa roz fazoon kare Khuda,
Jis ko ho dard ka maza naaz-e-dawa uthaaye kyun.
Hum to hain aap dil figaar gham mein hansi hai na-gawaar,
Chhed ke gul ko nau-bahaar khoon hamein rulaaye kyun.
Ya to yun hi tadap ke jaayein ya wohi daam se chhudaayein,
Minnat-e-ghair kyun uthaayein koi taras jataaye kyun.
Un ke jalaal ka asar dil se lagaaye hai qamar,
Jo ke ho loot zakhm par daagh-e-jigar mitaaye kyun.
Khush rahe gul se andaleeb, khaar-e-haram mujhe naseeb,
Meri bala bhi zikr par phool ke khaar khaaye kyun.
Gard-e-malaal agar dhule, dil ki kali agar khile,
Barq se aankh kyun jale, rone pe muskuraaye kyun.
Jaan-e-safar naseeb ko kis ne kaha maze se so,
Khatka agar sahar ka ho shaam se maut aaye kyun.
Ab to na rok aye Ghani, aadat-e-sag bigad gayi,
Mere Kareem pehle hi luqma-e-tar khilaaye kyun.
Raah-e-Nabi mein kya kami farsh-e-bayaaz-e-deeda ki,
Chaadar-e-zill hai malgaji, zer-e-qadam bichhaaye kyun.
Sang-e-dar-e-Huzoor se hum ko Khuda na sabr de,
Jaana hai sar ko ja chuke dil ko qaraar aaye kyun.
Hai to Raza nira sitam jurm pe gar lajayein hum,
Koi bajaaye soz-e-gham saaz-e-tarab bajaaye kyun.
Poet :
Ala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan
Naat Khanwan:
Ghulam Mustafa Qadri,Owais Raza Qadri,Asad raza Attari
फिर के गली गली तबाह ठोकरें सब की खाए क्यों,
दिल को जो अक्ल दे ख़ुदा तेरी गली से जाए क्यों।
रुख़्सत-ए-क़ाफ़िला का शोर गश से हमें उठाए क्यों,
सोते हैं उनके साये में कोई हमें जगाए क्यों।
बार न थे हबीब को पालते ही ग़रीब को,
रोएँ जो अब नसीब को चैन कहो गँवाए क्यों।
याद-ए-हुज़ूर की कसम ग़फ़लत-ए-ऐश है सितम,
ख़ूब हैं क़ैद-ए-ग़म में हम कोई हमें छुड़ाए क्यों।
देख के हज़रत-ए-ग़नी फैल पड़े फ़क़ीर भी,
छाई है अब तो छावनी हश्र ही आने जाए क्यों।
जान है इश्क़-ए-मुस्तफ़ा रोज़ फ़ज़ूँ करे ख़ुदा,
जिस को हो दर्द का मज़ा नाज़-ए-दवा उठाए क्यों।
हम तो हैं आप दिल-फ़िगार ग़म में हँसी है नागवार,
छेड़ के गुल को नौबहार ख़ून हमें रुलाए क्यों।
या तो यूँ ही तड़प के जाएँ या वही दाम से छुड़ाएँ,
मिन्नत-ए-ग़ैर क्यों उठाएँ कोई तरस जताए क्यों।
उनके जलाल का असर दिल से लगाए है क़मर,
जो कि हो लूट ज़ख़्म पर दाग़-ए-जिगर मिटाए क्यों।
ख़ुश रहे गुल से अंदलीब, ख़ार-ए-हरम मुझे नसीब,
मेरी बला भी ज़िक्र पर फूल के ख़ार खाए क्यों।
गर्द-ए-मलाल अगर धुले, दिल की कली अगर खिले,
बर्क़ से आँख क्यों जले रोने पे मुस्कराए क्यों।
जान-ए-सफ़र नसीब को किस ने कहा मज़े से सो,
खटका अगर सहर का हो शाम से मौत आए क्यों।
अब तो न रोक ऐ ग़नी आदत-ए-सग बिगड़ गई,
मेरे करीम पहले ही लुक़्मा-ए-तर खिलाए क्यों।
राह-ए-नबी में क्या कमी फ़र्श-ए-बयाज़-ए-दीदा की,
चादर-ए-ज़िल्ल है मलगजी ज़ेर-ए-क़दम बिछाए क्यों।
संग-ए-दर-ए-हुज़ूर से हम को ख़ुदा न सब्र दे,
जाना है सर को जा चुके दिल को क़रार आए क्यों।
है तो रज़ा निरे सितम जुर्म पे गर लजाएँ हम,
कोई बजाए सोज़-ए-ग़म साज़-ए-तरब बजाए क्यों।
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment