Ho Karam Sarkar! lyrics| हो करम सरकार अब तो हो गए ग़म बेशुमार
Roman Eng
Ho karam Sarkar ! ab to ho gaye gham beshumar
Jaan o dil tum par fida aye do jahan ke tajdaar
Main akela aur masail zindagi ke beshumar
Aap hi kuch kijiye na aye Shah e Aali Waqar
Yaad aata hai tawaaf e Khaana e Kaaba mujhe
Aur lipatna Multazam se walihana baar baar
Sang e Aswad choom kar milta mujhe kaif o suroor
Chain paata dekh kar dil Mustajaab o Mustajaab
Ya Khuda dikhla Hateem e Paak o Mezaab o Maqaam
Aur Safa Marwa mujhe baha e Rasool e Zee Waqar
Ja raha hai qaafila Tayba nagar rota hua
Main raha jaata hoon tanha aye Habeeb e Kirdigaar
Jald phir tum lo bula aur Sabz Gumbad do dikha
Haaziri ki aarzu ne kar diya phir be qaraar
Choom kar khaak e Madina jhoomta phirta tha main
Yaad aate hain Madine ke mujhe lail o nahaar
Gumbad e Khazra ke jalwe aur woh iftaariyan
Yaad aati hai bahut Ramzan e Tayba ki bahaar
Ya RasoolAllah sun lijiye meri fariyaad ko
Kaun hai jo ke sune tere siwa meri pukaar
Haal par mere karam ki ik nazar farmaaiye
Dil mera ghamgeen hai aye gham zadon ke gham gusaar
Qaafile walo suno yaad aaye to mera salaam
Arz karna rote rote ho sake to baar baar
Gham zada yun na hua hota Ubaid e Qadri
Is baras bhi dekhta gar Sabz Gumbad ki bahaar
Poet : Owais Raza Qadri
Naat Khawan: Ghulam Mustafa Qadri, Sayyed Hasan Ullah Qadri, Zohaib Asharafi
हो करम सरकार अब तो हो गए ग़म बेशुमार
जान ओ दिल तुम पर फ़िदा ऐ दो जहाँ के ताजदार
मैं अकेला और मसाइल ज़िंदगी के बेशुमार
आप ही कुछ कीजिए ना ऐ शाह ए आली वक़ार
याद आता है तवाफ़ ए ख़ाना ए काबा मुझे
और लिपटना मुल्तज़म से वालिहाना बार बार
संग ए अस्वद चूम कर मिलता मुझे कैफ़ ओ सुरूर
चैन पाता देख कर दिल मुस्तजाब ओ मुस्तजाब
या ख़ुदा दिखला हतीम ए पाक ओ मीज़ाब ओ मक़ाम
और सफ़ा मरवा मुझे बहा ए रसूल ए ज़ी वक़ार
जा रहा है क़ाफ़िला तैयबा नगर रोता हुआ
मैं रहा जाता हूँ तन्हा ऐ हबीब ए किर्दिगार
जल्द फिर तुम लो बुला और सब्ज़ गुम्बद दो दिखा
हाज़िरी की आरज़ू ने कर दिया फिर बेक़रार
चूम कर ख़ाक ए मदीना झूमता फिरता था मैं
याद आते हैं मदीने के मुझे लैल ओ नहार
गुम्बद ए ख़ज़रा के जलवे और वो इफ़्तारियाँ
याद आती है बहुत रमज़ान ए तैयबा की बहार
या रसूलल्लाह सुन लीजिए मेरी फ़रियाद को
कौन है जो कि सुने तेरे सिवा मेरी पुकार
हाल पर मेरे करम की इक नज़र फ़रमाइए
दिल मेरा ग़मगीन है ऐ ग़मज़दों के ग़मगुसार
क़ाफ़िले वालो सुनो याद आए तो मेरा सलाम
अर्ज़ करना रोते रोते हो सके तो बार बार
ग़मज़दा यूँ न हुआ होता उबैद ए क़ादरी
इस बरस भी देखता गर सब्ज़ गुम्बद की बहार
Comments