Hum ne aankhon se dekha nahin hai magar lyrics / हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर
Hum ne aankhon se dekha nahin hai magar
Un ki tasveer seene mein maujood hai
Jis ne laa kar Kalaam-e-Ilahi diya
Wo Muhammad Madine mein maujood hai
Hum ne aankhon se dekha nahin hai magar
Un ka jalwa to seene mein maujood hai
Jis ne laa kar Kalaam-e-Ilahi diya
Wo Muhammad Madine mein maujood hai
Phool khilte hain parh-parh ke Salle ‘Ala
Jhoom kar keh rahi hai ye baad-e-saba
Aisi khushbu chaman ke gulon mein kahaan!
Jo Nabi ke paseene mein maujood hai
Hum ne maana ke Jannat bahut hai haseen
Chhod kar hum Madina na jaayein kahin
Yoon to Jannat mein sab hai Madina nahin
Aur Jannat Madine mein maujood hai
Chhodna tera Tayyiba gawara nahin
Saari duniya mein aisa nazara nahin
Aisa manzar zamaane mein dekha nahin
Jaisa manzar Madine mein maujood hai
Naat khwan: mehmood j
Hafiz karim qadri
Alisha
हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर
उन की तस्वीर सीने में मौजूद है
जिस ने ला कर कलाम‑ए‑इलाही दिया
वो मुहम्मद मदीने में मौजूद है
हम ने आँखों से देखा नहीं है मगर
उन का जल्वा तो सीने में मौजूद है
जिस ने ला कर कलाम‑ए‑इलाही दिया
वो मुहम्मद मदीने में मौजूद है
फूल खिलते हैं पढ़- पढ़ के सल्ले-‘अला
झूम कर कह रही है ये बाद‑ए‑सबाँ
ऐसी ख़ुशबू चमन के गुलों में कहाँ !
जो नबी के पसीने में मौजूद है
हम ने माना कि जन्नत बहुत है हसीं
छोड़ कर हम मदीना न जाएँ कहीं
यूँ तो जन्नत में सब है मदीना नहीं
और जन्नत मदीने में मौजूद है
छोड़ना तेरा तयबा गवारा नहीं
सारी दुनिया में ऐसा नज़ारा नहीं
ऐसा मंज़र ज़माने में देखा नहीं
जैसा मंज़र मदीने में मौजूद है
ना’त-ख़्वाँ:
Mehmood J.
Hafiz Kamran Qadri
Alisha Kiyani
جیسا منظر مدینے میں موجود ہے
Comments
Post a Comment