Ya Ilahi Har Jagah Teri Ata Ka Saath Ho Lyrics | या इलाही हर जगह तेरी अता का साथ हो | یاالہٰی ہر جگہ تیری عطا کا ساتھ ہو
- Get link
- X
- Other Apps
Ya Ilahi har jagah teri ata ka saath ho
Jab pade mushkil Shah e Mushkil Kusha ka saath ho
Ya Ilahi bhool jaaun naz'a ki takleef ko
Shaadi e deedaar e Husn e Mustafa ka saath ho
Ya Ilahi gor e teera ki jab aaye sakht raat
Un ke pyaare munh ki subh e jaan fiza ka saath ho
Ya Ilahi jab pade mahshar mein shor e daar o geer
Aman dene wale pyaare peshwa ka saath ho
Ya Ilahi jab zabaanein baahar aayein pyaas se
Sahib e Kausar Shah e jood o ata ka saath ho
Ya Ilahi sard mehri par ho jab Khursheed e Hashr
Sayyad e be saaya ke zill e liwa ka saath ho
Ya Ilahi garmi e mahshar se jab bhadkein badan
Daaman e Mehboob ki thandi hawa ka saath ho
Ya Ilahi naama e aamaal jab khulne lagein
Aib posh e khalq Sattaar e khata ka saath ho
Ya Ilahi jab bahein aankhein hisaab e jurm mein
Un tabassum rez honton ki dua ka saath ho
Ya Ilahi jab hisaab e khanda e beja rulaaye
Chashm e giryaan e Shafee e Murtaja ka saath ho
Ya Ilahi rang laayein jab meri be baakiyaan
Un ki neechi neechi nazron ki haya ka saath ho
Ya Ilahi jab chalun tareek raah e Pul Siraat
Aftaab e Hashmi Noor ul Huda ka saath ho
Ya Ilahi jab sar e shamsheer par chalna pade
Rabbi Sallim kehne wale ghamzada ka saath ho
Ya Ilahi jo dua e nek main tujh se karun
Qudsiyon ke lab se Aameen Rabbana ka saath ho
Ya Ilahi jab Raza khwaab e giraan se sar uthaaye
Daulat e bedaar e Ishq e Mustafa ka saath ho
या इलाही हर जगह तेरी अता का साथ हो
जब पड़े मुश्किल शह ए मुश्किल कुशा का साथ हो
या इलाही भूल जाऊँ नज़अ की तकलीफ़ को
शादी ए दीदार ए हुस्न ए मुस्तफ़ा का साथ हो
या इलाही गोर ए तीरा की जब आए सख़्त रात
उनके प्यारे मुँह की सुबह ए जाँ फ़िज़ा का साथ हो
या इलाही जब पड़े महशर में शोर ए दार ओ गीर
अमन देने वाले प्यारे पेशवा का साथ हो
या इलाही जब ज़बानें बाहर आएँ प्यास से
साहिब ए कौसर शह ए जूद ओ अता का साथ हो
या इलाही सर्द मेहरी पर हो जब खुर्शीद ए हश्र
सैयद ए बे साया के ज़िल्ल ए लिवा का साथ हो
या इलाही गर्मी ए महशर से जब भड़कें बदन
दामन ए महबूब की ठंडी हवा का साथ हो
या इलाही नामा ए आमाल जब खुलने लगें
ऐब पोश ए ख़ल्क़ सत्तार ए ख़ता का साथ हो
या इलाही जब बहें आँखें हिसाब ए जुर्म में
उन तबस्सुम रेज़ होंटों की दुआ का साथ हो
या इलाही जब हिसाब ए खंदा ए बेजा रुलाए
चश्म ए गिरयाँ ए शफ़ी ए मुर्तजा का साथ हो
या इलाही रंग लाएँ जब मेरी बेबाकियाँ
उनकी नीची नीची नज़रों की हया का साथ हो
या इलाही जब चलूँ तारीक राह ए पुल सिरात
आफ़ताब ए हाशमी नूर उल हुदा का साथ हो
या इलाही जब सर ए शमशीर पर चलना पड़े
रब्बि सल्लिम कहने वाले ग़मज़दा का साथ हो
या इलाही जो दुआ ए नेक मैं तुझ से करूँ
कुदसियों के लब से आमीन रब्बना का साथ हो
या इलाही जब रज़ा ख़्वाब ए गिराँ से सर उठाए
दौलत ए बेदार ए इश्क़ ए मुस्तफ़ा का साथ हो
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment