Hasbi Rabbi Jallallah lyrics | हसबि रब्बी जल्लल्लाह
Hasbi Rabbi Jallallah
Mafi Qalbi Ghairullah
Noor-e-Muhammad Sallallah
La ilaha illallah
Tere Sadqe main Aaqa
Saare jahan ko deen mila
Be-deenon ne kalma parha
La ilaha illallah
Simt-e-Nabi Bu Jahal gaya
Aaqa se usne ye kaha
Gar ho Nabi batlaao zara
Meri muthi mai hai kya
Aaqa ka farmaan hua
Aur Fazl-e-Rahman hua
Mutthi se kankar bola
La ilaha illallah
Dunya ke insaan sabhi
Shirko bid’at karte the
Rabb ke the banden fir bhi
But ki ibaadat karte the
But khane sab tharraye
Mere Nabi hain jab aaye
Kehnelagi makhlook-e-khuda
La ilaha illallah
Apni behen se bole Umar
Ye to bata kya karti thi
Mere aane se pehle
Kya chhupke chhupke parhti thi
Bahan ne jab Quran padha
Sun ke kalaam-e-paak-e-khuda
Dil ye umar ka bol uttha
La ilaha illallah
Wo jo Bilal e Habshi hai
Sarwar-e- deen ka pyara hai
Dunya ke har Aashiq ki
Aankhon ka wo taara hai
Zulm hue kitne un par
Seenay pay rakha pathar
Phir bhi zubaan par jaari tha
La ilaha illallah
Yaad nahi tumhe wo manzar
Khuwaja ne jab khud chalkar
Nabbe laakh ko parhwaya
La ilaha illallah
Naat Khawan: Bilal Qadri,
हसबि रब्बी जल्लल्लाह
माफी क़लबि गैरुल्लाह
नूर-ए-मुहम्मद सल्लल्लाह
ला इलाहा इल्लल्लाह
तेरे सदके में आक़ा
सारे जहाँ को दीन मिला
बे-दीनों ने कलमा पढ़ा
ला इलाहा इल्लल्लाह
सिम्त-ए-नबी बु जहल गया
आक़ा से उसने ये कहा
गर हो नबी बतलाओ जरा
मेरी मुट्ठी में है क्या
आक़ा का फरमान हुआ
और फजल-ए-रहमान हुआ
मुट्ठी से कंकर बोला
ला इलाहा इल्लल्लाह
दुनिया के इंसान सभी
शिर्को बिद’अत करते थे
रब्ब के थे बंदे फिर भी
बुत की इबादत करते थे
बुत खाने सब थराए
मेरे नबी हैं जब आए
कहने लगी मख्लूक-ए-ख़ुदा
ला इलाहा इल्लल्लाह
अपनी बहन से बोले उमर
ये तो बता क्या करती थी
मेरे आने से पहले
क्या छुपके छुपके पढ़ती थी
बहन ने जब क़ुरआन पढ़ा
सुन के कलाम-ए-पाक-ए-ख़ुदा
दिल ये उमर का बोल उठा
ला इलाहा इल्लल्लाह
वो जो बिलाल-ए-हब्शी है
सरवर-ए-दीन का प्यारा है
दुनिया के हर आशिक की
आँखों का वो तारा है
ज़ुल्म हुए कितने उन पर
सीने पे रखा पत्थर
फिर भी जुबां पर जारी था
ला इलाहा इल्लल्लाह
याद नहीं तुम्हे वो मंज़र
ख्वाजा ने जब खुद चलकर
नब्बे लाख को पढ़वाया
ला इलाहा इल्लल्लाह
Hasbi Rabbi Jallallah is a beautiful and spiritually uplifting naat that reflects complete trust in Allah and deep love for Prophet Muhammad ﷺ. This soulful kalam brings peace to the heart and strengthens faith through remembrance of Allah.
Comments
Post a Comment